Breakup series.... Part 2 / break up kyon hotta hai | break up advice in hindi

Hello dosto, aap kaise ho. breakup advice in hindi ki aaj ki is post me hum jaanenge ki relationship me break up kyon hotta hai. Dosto hamaari pichli post.. Breakup part 1 me hamne ye parha tha ki Breakup kyaa hota hai. Hamne parha ki Breakup karne se relation to break hotta hi hai, saath hi break hotta hai...dil and trust....trust is baat ka ki hum ek dusre se kabhi bhi alag nahi honge ya wo kbhi bhi hume chord kar nahi jaayega



break up kyon hotta hai | break up advice in hindi



Aaj ki is post me hum baat karenge ki jab sab kuch thick hotta hi h to aakhir break up kyon hotta hai. Dosto Breakup hone ke bhut saare kaaran (reasons) ho sakte hai . Jaise ki -


  • Family problems
  • Apne partner pe trust na honna
  • Care na karna or na hi apne partner ko jaada time dena
  • Dhokha ya cheat karna
  • Apne partner se apne X ke baare me baate karte rehna
  • Matlab ke liye relation banana
  • Long distance relationships


1. Family problems -

Dosto bhut saare breakup .. family problem ki wjah se hi hotte hai. Bhut saari love stories to isliye khatam ho jaati hai kyonki unke family waale unke relationship se khoosh nahi hotte.

  • Jisme ki intercast ek bhut badi problem hai - Log kya kahenge , Relatives kya bloenge ..isi dar ki wjah se family waale  apne bacho ko intercast marriage ke liye mana karte hai. 
  • Dusri problem ho sakti hai status ki - Ki ladka jaada amir nahi hai uska status high nahi hai to ladki ke family waale nahi maante. Kyonki hur parents yhi chaahte hai ki unki ladki aise ladke se shaadi kare jo ameer ho or hamari beti ko saari umar khoosh rakh sake.
  • Kissi ek ki shaadi ho jaana - jub bhi family waalo ko hum apne relation ke baare me bataate hai ya kehte hai ki hume usse shaadi karni hai... Or agr family waalo ko rishta pasand nahi hai To jaadatar wo log apne ladke ya ladki ki shaadi apni marzi se kahi or karwaa dete hai. 

in family problems ki wjah se bhi jaddatar log..apni family ki khooshi ke liye break up kar lete hai.

2. Apne partner pe Trust na hona -

       Dosto har relation me trust ka hona bhut jaruri hai..har rishte ki buniyyad hi trust pe hotti hai. Agar trust hi nahi hogga to kabhi bhi wo relation jaada din nahi chal sakta hai... jaise ki -

  • Freedom na dena ya chipku type - Baar - Baar apne partner ko call ya msg karte rehna... Ki khan ho ?... Kya kar rahe ho ?.... Kiske saath ho ?.... Kyon ho ? ..... Dosto mujhe aisa lagta hai ki hur relation me thoddi to freedom honni hi chaahiye , sabki apni - apni life hai, apne - apne goals  hai unhe bhi achieve karna hai.
  • Kissi or friend se baate naa karne dena...  Apne partner ko ....uske kissi opposite Gender friend se baate na karne dena... ya baar baar shuq karna ki tum baar - baar usse kya baat karte ho ?..itni der kya baate karte ho ?... ya itni der kyon baate karte ho ?..... 

In sub ki wjah se relations jaada din nahi chal paate hai or phir break up kar lete hai.

3. Care na karna or na hi apne partner ko jada time dena -

Dosto jab naya naya relation banta hai us time sabka man karta hai ki ham jada se jada time spend kare apne partner ke saath , or saath hi unki har jarurat ka bhi khyaal rakhte hai ..unki bhut care karte hai. But jab whi relation thodda purana ho jaata hai to hum unke liye jaada time nikalna band kar dete hai or unki jaada care bhi nahi karte hai.

Ye ek human nature hai ki jab koyi cheez hamaare pas nahi hotti hai to hame use paane ki bhut icha hotti hai or use paane ke liye hum kuch bhi kar gujar jaane ko tayaar rehte hai. but jub whi cheez hamare pas aa jaati hai or hume ye lagne lagta hai ki ab wo kahi nahi jaayega to hum uski care karna chord dete hai. Thick isi trah se hamare relationship me bhi yhi hotta hai.

Time na de paane or care na karne ka kaaran kuch or bhi ho sakta hai jaise ki Bhut jaada workload hona ya kuch or. But phir kaaran chaahe jo bhi ho work load ya long time relation but jaadatar end result brekaup hi hotta hai. 


4. Dhokha ya cheat karna -

Dosto hur relation me sabse jaruri hai ek dusre pe trust karna. but kayi log is baat ka galat faayda uthaate hai or wo bhaar bhi kisi or se relation bana lete hai or apne partner ko cheat karte rehte hai.   But  jub cheating ka pata chalta hai to trust toot jaata hai. Or trust ek aisy cheez hai ki agar ek baar toot gaya to dobara uspe trust kar paana bhut mushkil ho jaata hai or phir last me break up ke alawa or koyi option nahi rehta.

5. Apne partner se apne x ke baare me baate karte rehna -

Ji haan bhut saare relation to is wjh se bhi toot jaate hai...  ki unhe apne partner se.. Apne x ke baare me baate karne ki aadat hotti hai... Jaane anjaane wo,.. apne x ki baate karte rehte hai.. Ki wo aisa tha.. Use ye pasand tha... Wo mera itna khayaal rakhta tha.. Ye sab baate hamaari girlfriend.. Ya boyfriend ko achi nahi lagti hai.. Or wo aise insaan ke saath relation todna hi behtar samjhte hai.

6.  Matalb ke liye relation bnaana -

 Dosto kayi log to relation sirf apne matlab ke liye hi bnaate hai... Jaise ki - 

  • Paiso ke liye ya kissi or matalab ke liye -  Bahut se aise log hotte hai jinhe sirf apna faayda dikhta hai unhe dusro ki feelings se kuch lena dena nahi hotta hai. Wo log  sirf isliye relation bnaate taaki wo apne partner ka use kar sake - Apne recharge . Or bill pay karne ke liye.. Ya phir gaadiyo me ghoomne ke liye. But jub aise loggo ka sach saamne aata hai to ... wo insaan jo matlabi nahi hotta hai uska loggo par se or relationship par se vishwass hi uth jaata hai. Par waise aise loggo ka pata tabhi chalta hai jab unhe break up karna hotta hai.... Ya unhe aapse behtar Or jaada ameer mil gya hai  or ab unhe tumhaari jarurat nahi rahi ... to wo aapko chord kar kissi or ke saath chle jaayenge... Tb unki sachaayi ka pata chalta hai ki wo hmaare saath matlab ke liye tha.

7. Long distance relationships - 

dosto aap sabhi ko pata hai ki ... Jaadatar relations jo long distance me hotte hai.. Jaada din nahi chalte hai Kyonki wo log ek dusre ke saath jaada time spend nahi kar paate hai. wo sirf calling ya chatting hi kar paate hai but face 2 face bahut kam mil paate hai. phir dheere dheere jinse wo daily milte hai unke jaada close honne lagte hai. Kyonki unki soch phir aisy ban jaati hai ki aise relation ka kya fayda jisme saal me sirf ek ya do baar mil sakte hai...to phir dheere dheere unme duriya barhne lagti hai .wo log phone pe baat karna bhi kam kar dete hai or baat baat pe ladaayi jhgde hone lagte hai. phir kuch din yahi sab chalne ke baad wo break up kar lete hai.

Dosto break up advice in hindi is article me maine sirf is baare me likha hai ki break up kyon hotta hai. ladaayi sabhi relation me hotti hai jhan pyaar hai whan fight bhi hotti hi hai ..or jab ladaayi hotti hai to hum baat karna bhi chord dete hai but phir ego beech  me aa jaati hai ki mai kyon pehle baat karu..wo ni kar sakta kya. or kayi baar isi ego ki wjh se bhi relation toot jaaya karte hai.

 Bhut saare aise log bhi hai jo apne relationship ko bhut ache se nibhaate hai...phir chaahe wo saath rehte ho ya phir long distance me ho but us baare me hum apne kissi or article me baat karenge. Yhan maine sirf unhi Points pe baat ki hai jinki wjah se break up hotte hai...ho sakta hai inke alawa or bhi bhut se reasons ho. Agar aap share karna chaahte hai to aap log comment box me likh sakte hai. Mai jaldi hi Breakup series ka agla part aapke liye le kar aaunga ki hume breakup ke baad kaisa feel hotta hai. To Dosto Mera ye article parhne ke liye dhanyawaad ..Have a nice life and be inspired.









No comments:

Post a Comment

How to answer Why should I hire you in the interview learn in hindi

Aaj ki is post me hum sikhenge Why should I hire you ka ans. hume kis trah se dena hai matlab ki interview me jab poocha jaayega ki hum aap...