Why do we learn English language | English sikhana kyon jaruri hai

Dosto aaj ki is post why do we learn English language me hum jaanenge  ki English sikhana kyon jaruri hai. English sikhna koyi bahut badi baat nahi h koyi bhi english sikh sakta hai lekin tab agar wo sach me sikhna chaahta ho. English ek language hai.... Ek tareeka hai apni baat ko dusro ko samjhaane ka. Waise to humaari national language hindi hai lekin phir bhi sabse jaada english humaare desh me hi boli jaati hai. Ya jinko nahi bhi aati wo bhi sikhne ki koshish karte rehte h lekin kuch time tak try kar ke chord dete hai.

Why do we learn English language | English sikhana kyon jaruri hai




ye bhi parhe : -

Waise english na aana koyi buri baat nahi hai.. Lekin ab English ko itni jaada importance de di hai ki ab to school me hi bacho ko dara diyaa jaata hai... Ki agar tum english nahi bol paaoge to life me kuch nahi kar paaoge. Kyonki ab har jgah english jaruri hai phir chaahe wo education ho interview clear karna ho ya phir hume kissi company me kaam karna ho har jgah english hi jaruri hai.. English nahi to kuch nahi.


Isi dar ki wjah se har koyi chaahta hai ki wo bhi angrejo ki trh fast english bole lekin jub wo try karta hai to kuch dino baad use lagne lagta hai ki ye mujhse nahi ho paayega or phir english ka dar uske andar is trh baith jaata hai ki wo English sikhna hi chord detaa hai.. Or english k naam se bhi dar jaata hai.


English na bole paane ka sabse bada kaaran hai hmaara maahol (environment). Jaise maahol me hame rehte hai.. Whan English bolna to chordo Hindi bhi bahut kam hi bolte hai. Jaadatar apni local language ka hi use karte hai. Jaise hamaare paharhi language ka use karte hai. Hum chaahe ghar pe ho apne local friends ke saath ho ya school, college friends ke saath jaadatar local language bolne waale hi hotte hai. Or unki local local language bolne ka kaaran ye hotta hai ki wo us language me bilkul comfertable hotte hai kyonki bachpan se unhone apne aas paas whi language suni or phir bade hokar khood bhi whi language boli.


Isi trah se angrej bhi isliye itni ache se English bole paate hai kyonki unhone bhi bachpan se apne aas paas English language suni or bhir bade hokar whi language boli. Lekin kuch log un loggo se apne aap ko compare karte rehte hai or apne aap ko koste rehte hai ki mai itne ache se English kyon nahi bole pata.


Ye jaruri nahi hai ki agar aapko English aati ho tabhi aap life me kuch kar paaoge iske examples aapko bahut saare mil jaayenge jinhe english bolni bilkul bhi nahi aati lekin wo log apni field ke master hai. Hume apne kaam pe dhyaan dena chaahiye wo chaahe kuch bhi ho.. Chotta kaam ho ya bada lekin usme mastry karni chaahiye.


Lekin English sikhne me koyi buraayi bhi nahi hai balki hume to apni skills ko marte dam tak barhaate rehna chaahiye or humesha kuch na kuch sikhte rehna chaahiye. Aisy bahut si jgh hai jhan English aana bahut jaruri hai jaise ki :-
  • Daily use ke liye
  • Interviews ke liye 
  • Multinational companies me kaam karne ke liye
  • Multinational level pe apne aap ko ya apne desh ko represent karne ke liye
  • Different countries me travel karne ke liye

Daily use ke liye :-


English langauage ka use jaane anjaane sabhi karte hai , phir wo koyi bacha ho ya badda . kuch aise words hai jo hum english me hi use karte hai jaise ki 
  • day wish karna like - Good morning , Good afternoon , good night 
  • special day wish karna jaise ki - happy holi , haapy diwali , happy new year, happy birthday
  • kissi ko badhaayi dena jaise ki - congratulation 
  • ya or bhi aise bahut se word hai jo hum english ke use karte hai jaise ki - all the best, best of luck, thank you , sorry, free, busy, bye ...

or na jaane or bhi kitne saare aise words hai jo hum english ke hi use karte hai lekin phir bhi pata nahi hum aisa kyon sochte hai ki hume bilkul bhi english nahi aati. Is blog par hum english bolna bhi sikhenge or aane waali post me ek article isi se related hogga ki english ke aise words jo hum daily use karte hai to increase english vocabulary.


Interviews ke liye :-


Agar aapko koyi interview clear karna hai to Aapko English aana bahut jaruri hai or khaaskar agar aap kissi private company me interview dete ho. Aisy bahut kam companies hotti hai jo hindi me interview leti hai jaadatar English me hi interview lete hai taaki wo aapki communication skill check kar sake. Or aisa isliye kyonki companies me bahut trh ke or different countries ke clients ko handle karna parhta hai.

Multinational companies me kaam karne ke liye : -


Kyonki Multinational companies ka kaam hotta hai dusri countries ke clients ko handle karna isliye us condition me english ke bina kuch bhi nahi ho sakta.. English aana bahut jaruri hai or isiliye whan ek dusre ke saath bhi English me hi baat karte hai.

Multinational level pe apne aap ko ya apne desh ko represent karne ke liye :-


Agar aap apne aap ko ya apne desh ko kahi bhi Multinational level pe represent kar rahe ho tab bhi English aana bahut jaruri hai, Kyonki whan par bhi bahut se different countries ke loggo ke saath communicate karna parhta hai or jaruri nahi hai ki sabko hindi aati ho.. Isliye whan par English language ka aana bahut jaruri hai. jaise ki -

- Sports

- Events


Ye koyi 2-4 din me sikhne waali cheez nahi hai.. Isme mahino lag jaate hai lekin aapko bus sikhte rehna hai or tab tak sikhte rehna hai jab tak ki aap is kaabil na ban jaao ki aap english me kissi ke saath bhi communicate kar sako. Jaruri nahi k aapko 100% hi English aani chaahiye tabhi aap communicate kar paaogo aisa kuch nahi hai agar aapko thoddi bhi english aati hai tab bhi aap dusro ke saath english me normal baat kar sakte ho or phir dheere dheere aap khood apne andar improvement dekhoge.

Different countries me job ya travel karne ke liye :-


Agar aapko duniya bhar me ghumne ka intrust hai ya aapko job karne ke liye kisi dusre me desh me jaana hai taaki aap dollors me kamaayi kar sako to uske liye aapko English aana bahut jaruri hai. agar aap fluently english nahi bole paate ho to aap dusre desh me job karne nahi jaa paaoge. or agar aap ghumne ke liye khi dusre desh me jaate ho tab bhi agar aapko whan kissi se bhi communicate karna hai to english aana bahut jarutri hai.

Isliye English ek common medium ka kaam karta hai to exchange thoughts. Sabhi log sab trh ki language to nahi sikh sakte isliye English ek aisy language hai jiski help se aap duniya me kissi ke saath bhi communicate kar sakte ho. Isliye english sikhna bhi bahut jaruri hai. Jitna mushkil hume lagta hai english sikhna utna bhi mushkil nahi hai. Bus thoddi mehnat or will power chaahiye English sikhne ke liye. Ek baar agar sikhna shuru kar diya to ab sikh kar hi chordenge, ye attitude honna chaahiye.

Ye bilkul aisa hi jaise ki koyi bacha dheere dheere chlna ya bolna sikhta hai. Pehle wo bahut galtiya karta hai, bahut baar girta hai phir uthta hai phir girta hai phir uthta hai lekin wo koshish karte rehta hai. Waise jab bacha bolna sikhta hai to starting me wo thick se word bole nahi paata hai or jab wo ulte sidhe word bolta hai to sab us par hanste hai thick waise hi jaise agar hum galat English bole dete hai to log hum par hunste hai.

Lekin humme or bacho me ye fark hai ki bache phir bhi koshish karte rehte hai kyonki unke dil me us time kuch bhi negative nahi hotta ki sab mere ooper kyon hans rahe hai. unhe kissi ki koyi parwaah nahi hotti or isilye wo jaldi sikh jaate hai. Lekin hum log, agar hum par koyi hans jaaye to phir hum dobara koshish karna hi chord dete hai jo ki bilkul galt baat hai.

Isliye apne is blog par mai koshish karunga ki aapko kuch had tak English sikha saku or Hum log bilkul basic se start karenge not from A B C... I know utni English to aapko aati hi hogi. Mai koshish karunga ki aapko easy se easy way me English sikha saku taaki aap log is kaabil Ban jaao ki jaada nahi to at least basic baato ke ooper or  kuch der tak to kissi se bhi English me baat kar sako.

ye bhi parhe : -

Aaj ki is post why do we learn English language me humne jaana  ki English sikhana kyon jaruri hai.humne jaana ki english ka use bahut jagh hotta hai jaise ki interviews, MNC companies ya agar dusre desh me hum kahi ghumne jaate hai. English sikhna bhi bahut jaruri hai or isiliye spoken english se related or bhi articles aapke liye laata rahunga .Hum utni english sikhenge jo ki real world me kaam aati ho. Or har article me hum kuch vocabulary bhi sikhenge jo ki daily use me kaam aati ho isliye aap humaare blog beinspired2all ke sath bane rahe. Or dosto aapko aaj ka ye article kaisa laga Comment kar ke jarur battaye. Dhanyaawaad..Have a nice life and be inspired.

No comments:

Post a Comment

How to answer Why should I hire you in the interview learn in hindi

Aaj ki is post me hum sikhenge Why should I hire you ka ans. hume kis trah se dena hai matlab ki interview me jab poocha jaayega ki hum aap...