What are your strengths and weaknesses | aapki strengths or weaknesses kya hai ?

aaj ki is post me hum sikhenge what are your strengths and weaknesses matlab ki aapki strenghts or weaknesses kya hai or ye hum hindi me sikhenge। Dosto ye question har interview me poocha jaata hai kyonki is question se ye pata chl jaata hai ki jo person interview dene aaya hai wo apne baare me kitna jaanta hai. or phir uski strengths and weaknesses ke base pe ye pata chal jaata hai ki wo company me kaam karne ke laayak hai ya nahi. isse pehle hum log ye sikh chuke hai ki how to introduce yourself and tell me something about your hobby agr aap logo ne nahi parha to pehle aap log wo post parh le.


What are your strengths and weaknesses




Is ke liye aapko apne aap ko bahut ache se absorb karna chaaiye ki aapki strengths or weaknesses kya hai. or aapko iska jwaab sahi se dena chaahiye jo ki actual me aapko lagta hai na ki kissi dusre ka sun ke ya kahi se parh ke kuch bhi ratta rattaaya bole diya kyonki isse related phir aapse or quesions bhi pooche ja sakte hai. agar aap sab sach bologe to aap sab ka jawaab sahi se de paoge nahi to aap confuse ho jaaoge or isse related baaki questions ke answers ache se nahi de paaoge. Hum sabhi ke andar koyi na koyi strength or weakness hotti hi hai. Isliye sabhi ko use pechaana chaaiye taaki apni us strength or weakness pe or ache se kaam kiya jaa sake, to improve more strentghs and to overcome all weaknesses.


What are your Weaknesses : -


Sab ki koyi na koyi weakness hotti hi hai aisa koyi bhi nahi hotta jiski koyi weakness nahi hotti . lekin interview me answer dete time kayi baar hum log confuse ho jaate hai ki humaari weaknesses kya hai ya hume apni kon si weakness bataani chaaiye or kon si nahi bataani chaahiye.

weakness hotti hai kamjori jo ki kuch bhi ho sakti hai or kissi bhi trh ki ho sakti hai lekin interview ke relevent honi chaahiye. ye ni hai ki hm kuch bhi bole de jaise ki ye na bole ki lazziness is my weakness . isse aapki paersonality pe galt impact parhega . isliye weakness kuch aisy honny chaahiye jisse unhe aisa na lage ki ye hamaari job ke laayak nahi hai. or saath hi aapko ye bhi bataana chaahiye ki aap apni weakness ko  khatam karne ke liye kuch effort bhi kar rahe ho .

For Example : -


  1. I am not so fluent in english but i am trying to improve it . i am watching english vedios on youtube or reading english books .
  2. My weakness is my anger. I feel so angry when i saw that any of my work is not completed timely or properly. But i am trying to overcome it by doing yoga or meditation.
  3. I am little shy in front of unknown peoples but I am trying to improve it.
  4. I can't say no whenever someone asked me to help but i am trying to improve it.
Aapko apni weaknesses ko is trah se bataana hai jisse interview lene waale ko ya na lage ki ye hamaari company ke laayak hi nahi hai. Isliye aap jab bhi apni koyi weakness bataaye to aapko saath me ye bhi jarur batana hai ki aap us weakness ko kam karne ke liye kya kar rahe ho. jaruri nahi hai ki aap yhi batao jo maine aapko kuch points bataaye aapko wo batna hai jo aapko actual me lagta hai kyonki weaknesses honna problem nahi hai problem hai ki aap use overcome karne ke liye kuch bhi nahi kar rahe ho. Isliye agar aap sach bataaoge or aap sach me use overcome karne ke liye koshish kar rahe ho to aap isse related pooche jaane waale sabhi questions ke answers bahut ache se de paaoge.

don't say : -


  • laziness, 
  • fighting 
  • I can't wake up early in the morning
  • ya jo qulities company ko chaahiye for a particular position wahi aap apni weaknesses me bataao
  • ya kuch bhi aisa jisse unhe lage ki aap unki company ke laayak nahi ho kyonki phir wo aapko interview me select nahi karenge

What are your Strengths : -


Sab me koyi na koyi strength hotti hai lekin kuch loggo ko pata hi nahi hotta ki unki strength kya hai kyonki wo kabhi bhi apne aap ko jaanne ki koshish hi nahi karte hai. lekin agar koyi bhi try kare apne andar ki strengths ko jaanne ki to sab ko apne andar koyi na koyi strength jarur milegi. Interview to ek chotti si wajh hai lekin life me agar kissi ko bhi successfull honna hai to unhe apni strengths ka pata honna chaahiye ki wo kis kaam ko bahut ache tareeke se kar sakte hai.

For Example : -


  1. Honesty
  2. Punctuality
  3. Good communication skills
  4. I love to learn new things
  5. Quick learner
  6. Always try to do the work on time with perfection
  7. Self motivated person
  8. Very good in teamwork
  9. Hard working
  10. Ya kuch bhi aisa jo aapko actual me lagta ho ki ye aapki strength hai

* Aap jo bhi strength bataaoge aapke pas usse related at least one real life example to honna hi chaahiye taaki aap use or ache se explain kar sako.

Isliye aapko ye hamesha yaad rakhna hai ki aapko sach bolna hai jo ki actual me aapki strength hai kyonki aap jo bhi strength bataaoge interview me phir next question usi se related ho sakta hai. jaise ki agar aap bataao ki aapki strength honesty hai to aapka next question ho sakta hai ki apni honesty ka koyi example do , aapko kyon lagta hai ki honesty hi aapki strength hai , aap apni honesty ko kis trah se explain kar sakte ho , ya kuch bhi aisa jo ki aapki honesty se related hogga. Agar aap apni strength sach bataaoge to aap usse related baaki sabhi questions ke answers bhi badi aasani se de paaoge nahi to aap confuse ho jaaoge. 

Strengths person to person very karti hai sabki apni apni strength hotti hai or saath hi aapko ye bhi dhyaan rakhna hai ki jhan tak ho sake, aapki jitni bhi strength hai unme se aapko kewal whi strength bataani hai jo ki aapki job profile se match karti ho. jaise ki agar aapko kahi aisy jgah interview dena hai jhan company ki first priority communication skills hai or phir agar aap whan par apni strength good communication skills bataaoge to aapke select honne ke jaada chances hai. or good comunication skills to ek aisy strentgth hai jo ki har company ki jarurat hai isliye aapko apni communication skills pe jarur kaam karna chaahiye to become successful.

lekin ye aapko tabhi bolna hai agar aapko sach me apne upar confidence hai kyonki aap kissi bhi baat ke liye jhooth nahi bole sakte or rahi baat communication skills ki to jo aapka interview le rahe honge unhe khood hi pata chal jaayega ki aapki communication skills kitni achi hai.

Or haan kuch log aise bhi hotte hai jinhe ye kabhi pata hi nahi chlta ki unki strengths or weaknesses kya hai lekin agar unhe interview me is question ka answer ache se dena hai to aise log kahi se bhi parh ke ek do point apni strengths or weaknesses me add kar sakte ho. Ye bhi ho sakta hai ki aap sab kuch jhooth bolo lekin phir aisy situation me aapko apne answers ke liye pehle se tyaari rakhni hai or apne kissi bhi real life example ko usme add kar dena hai taaki aap uska answer bahut ache se de paao or interview lene waalo ko aap fake na lago.




Aaj ki is post preparation for interview questions and answers me humne jis question ki tyaari ki wo hai what are your strengths and weaknesses jisme humne jaana ki hume apne strengths and weaknesses ke baare me kya or kaise batana hai. Sabki koyi na koyi strength hotti hai bus aapko use pehchaanna hai or apni strengths ko barhaane ke liye daily uspe kaam karna hai, usi trah se sbki koyi na koyi weaknesses hotti hai sabse pehle to hame apni weaknesses ko pehchaanna hai or phir use overcome karne ke liye use par kaam karna hai. in short hume apni strengths ko barhaate rehna hai or apni weaknesses ko kam karte rehna hai.

To dosto aapko aaj ka ye article kaisa laga comment karke jarur bataaye. Mai aapke liye motivation, interviews and education se related or bhi articles laata rahunga isliye aap humaare blog beinspired2all ke sath bane rahe, Dhanyaawaad..Have a nice life and be inspired.

7 comments:

  1. Very nice acctully meri bht bdi problm solve ho gai

    ReplyDelete
  2. Ap ye sab achhe se sudh Hindi se likhte to or achha rahta


    Aapka blog bahut achha hai

    ReplyDelete
    Replies
    1. Bahut bahut dhanyaawad..... Hum aage se koshish karenge ki apni aane waali posts me shudh hindi ka use kare.

      Delete
  3. Thanks a lot it is very useful for me

    ReplyDelete

How to answer Why should I hire you in the interview learn in hindi

Aaj ki is post me hum sikhenge Why should I hire you ka ans. hume kis trah se dena hai matlab ki interview me jab poocha jaayega ki hum aap...